You are currently viewing Amitabh bachchan hero kaise bane, Amitabh Life story in hindi !!

Amitabh bachchan hero kaise bane, Amitabh Life story in hindi !!

Amitabh bachchan hero kaise bane !!

Amitabh Bachchan ka jnm 11 October 1942 ko Allahabad, Uttar Pradesh me hua. inko aj hum inke nam se jante hain lekin ydi aj ke samay me inka itna nam na bhi hota fir Amitabh Bachchan ek jane mane vykti hote kyonki inke pita ek bhut famous lekhak the, jinka nam Hari Vansh Rai Bachchan tha aur inki maa ka nam Teji Bachchan tha jo ek bhut bdi smaj sevika thi. Jab Inka jnm hua tha us samay Bharat ko azadi nhi mili thi aur Inquilaab bhut jyada mane jane wala shabd tha is liye inke pita ne inka nam “Inquilaab ” rakh diya lekin kuch samay bad Hari Vansh Rai Bachchan ke kareebi dost Sumitra Nandan Pant ke khne pe inka nam bdal ke “Amitabh” Kar diya.

is shabd ka mtalab hota hai ek aisa prkash jiska kbhi ant na ho. uske bad smay aaya inki pdhai ka to inki primary education ke liye inhe Allahabad ke school “St. Marry School” bheja gya. uske bad inhone apni agy ke pdhai Nainital ke famous college “Sherwood College” se ki. yahan inhone kewal pdhai me hi ruchi ni dikhai blki uske sath sath inhone natako me bhi khoob jam ke Bhag liya. uske bad ye Delhi ke “Karorimal College” aaye.

jhan se inhone apni graduation poori ki. jab inki pdhai poori ho gyi to inhone Delhi me bhut si jagahon me naukri ki khoj ki. lekin durbhagyvas inhe kahin bhi saflta nhi mili. Tbhi ek din inki mulakat apne kisi purane dost se hui jisne inhe “All India radio” me kam krne ki salah di. jhan inhone voice narration ki job ke liye inhone apply kiya. kintu inki bhari awaj ke chlte whan se bhi inhe nirasha hi hath aai.

tab inhone apne doston ke sath Kolkata jane ka man bnaya, jhan inhone apne 5 saal diye. us samay inhone private naukariyan ki wo bhi bhut kam salary per. Inhone kai saare struggle kiye lekin inke man me ek spna tha ki wo hero bnenege aur ye spna unke dil dimag se kabhi bhi nikla nhi.

Fir 1968 me khud ko film jagat me ajmane ke liye Mumbai aa gye. Ek taraf inhe Delhi me Radio me ye kah ke nikal diya gya ki tumari awaz moti aur khrab hai to whin jab wo mumbai phuche to unhe unki awaz ke liye as a Narrator kam krne ka mauka mila aur ye inki phli saflta thi.

Unki dosti Rajeev Gandhi se thi jiske chlte inhe ek film me kam krne ka mauka mila jis film ka name tha “7 Hindustani” lekin ye film jyada chli nhi aur flop ho gyi lekin inhone har nhi maani. aur 1970 aur 1971 me Bombay Talkie aur Parwan film me kam kiya. lekin ye dono filme bhi safal nhi ho paai fir inhe ek aur mauka mila aur 1972 me inhe Super Star Rajesh Khanna ki Film “Anand” me kam krne ka mauka mila.

Fir kya hona tha success inke kadam choomne lgi jiske bad inhe kai saari hit film krne ka mauka mila. Anand film ke liye inhe best film fare award for supporting actor diya gya. log inhe kaphi psnd krne lge the lekin inko inki asli saflta “Janjeer” se mili, jiske nirdeshak Prakash Mehra the. is film me inhone ek negative kirdar nibhaya tha aur ye film us samay ki ek safal film mani jati thi.

uske bad inhe log angry young man ke nam se janne lge iske bad inhone kai hit film ki. fir 1982 me Kuli film ke dauran inhe bhut joron ki chot lg gyi ek action scene krte smy. jiske chlte inka kaphi khoon nikl gya tha aur ye lgne lga tha ki ab ye jeevit ni rhenge lekin doctor ki mehnat aur logon ki prarthna ne inhe fir se pairon pe khda kar diya aur 1983 me inki ye film release hui jo bhut hit aur sbse jyada kmai krne wali film thi.

ek chot ke chlte unhe lgne lga ki wo ab filme nhi kar payenge is liye unhone rajneeti ko bhi chuna lekin whan inhe jyada saflta nhi mili aur ye fir se film jagat me aa gye jhan kbhi har to kabhi jeet mili.

uske bad inhone Kaun Bnega Carorpati TV show host kiya jisne mano inke jeevan ko chaar chand lga diye aur ye aj ke samay ke ek safal vykti hain. ye apni poori saflta ka shrey apne pita Hari Vansh Rai Bachchan ko mante hain kyunki unhone hmesha inka sath diya.

Amitabh bachchan ka baap kaun hai ?

Harivansh Rai Bachchan

Amitabh bachchan Life story in hindi !!

Ankita Shukla

✔️ izoozo.com Provide Hindi & English Content Writing Services @ low Cost ✔️अंकिता शुक्ला Oyehero.com की कंटेंट हेड हैं. जिन्होंने Oyehero.com में दी गयी सारी जानकारी खुद लिखी है. ये SEO से जुडी सारे तथ्य खुद हैंडल करती हैं. इनकी रूचि नई चीजों की खोज करने और उनको आप तक पहुंचाने में सबसे अधिक है. इन्हे 4.5 साल का SEO और 6.5 साल का कंटेंट राइटिंग का अनुभव है !! नीचे दिए गए कमेंट बॉक्स में आपको हमारे द्वारा लिखा गया ब्लॉग कैसा लगा. बताना न भूले - धन्यवाद ??? !!

Leave a Reply