Tax System kar code ke ander teen prkar ke kar aate hain jisme phla hota hai: Prtigami kar, dusra hota hai: Anupatik Kar aur akhiri kar Pragatishil kar hai. Prtigami kar wo kar hota hai jise jyada income wale logon ko tax dene me adhik dikkat hoti hai lekin unki apeksha middle class ke logo ko ye kar dene me kam takleef ka samna krna pdta hai. Uske bad aata hai Anupatik Kar jise Flat tax ke roop me bhi jana jata hai isme high income aur middle income wale logon ko saman roop ka kar dena hota hai. uske bad akhir me aata hai Pragatishil Kar ye kar high income wale logon pe jyada prabhav dalta hai aur middle income aur low income walon ko kam prbhavit krta hai.
सूची
प्रतिगामी कर
is kar me sbhi ko saman roop ka kar dene hota hai. arthat, ydi koi vykti ki aay kam hai aur uski jan smpatti hai to sarkar ye kar uski aay ke anusar bhi blki puri smpatti ke adhar pe is kar ka aaklan krti hai.
Example: Ydi koi bhi vstu ya koi seva ki bikri hoti hai to uska aklan us item ke prtishat ke anusaar hota hai. ye kar chhote vyapari se bde vyapaari pe jyada prbhav dalta hai. is kar ke antergat: achal sampatti, state aur local bikri kar aadi jude hain. is kar me kuch vstuyen bhi aati hain jaise: cigarette, Gasoline, airline tax, liqueur tax aadi.
आनुपातिक कर
is kar ko Flat kar bhi kha jata hai. is kar kisi bhi kar data ki arthik sthiti ya aay ko na dekhte huye is kar ka saman mulyankan kiya jata hai. iska matlab saf hai ki seemant kar ki dar aur ausat kar ki dar ke beech smanta rkhna. is kar me kar data apni aay ka ek prtishat khud nirdharit krte hain. chahe isme wo apni sampatti ko jode ya na jode.
Example: is kar me ek sman prtishat nirdharit kar diya gya hai jo kisi ke liye bdhta ya kam nhi hota hai. Jaise: Maniye ek vykti 20,000 kmata hai to wo kar me apni aay ka 10% deta hai matlab 2000. aur whin dusra wvkti 200,000 kmata hai aur wo vykti bhi apni aay ka 10% dega matlab ki 20,000. to is tarah is kar me sbhi ke liye smanta hoti hai.
प्रगतिशील कर
ye kar aapki aay ke anusar lgta hai ydi aapki aay bdh rhi hogi to ye kar bhi usi prkar se bdha ke lgaya jayega aur is kar me seemant kar ki dar hmesha ausat kar ki dar se kam hua krti hain. isme udaharn ke roop me sampatti kar aata hai. is kar me ameer logon ko jyada kar dena hota hai.